Online Google AdSense Se paise Kaise kamaye Aasan Tarike

Aap adhik matra me online paise kamana chahte hai ?  kya aap online part-time kaam kar ke apne mobile ke bill aur kai sare dusre kharche ko bharna chahte hai ? agar aapka answer ha hai to aaj apko ye article jarur padhna chahiye kunki iss article ko padhne ke baad apki duniya badal sakti hai!
Aaj ki duniya me online kaam karna bahut he aasan hogya hai aur kai sare log online kaam karke kafi paise bhi kama rahe hai. Agar aap ne kabhi google par ye search kiya ho ki kaise log online paise kama rahe hai to apne jarur adsense ke bare me dekha he hoga agar nahi dekha..
To ye post aap ke liye hai newbie jaise ki aap jo ek part time kaam chahte hai aur online adsense se money earn karna chahte hai. Iss puri guide ke aakhiri me aapko ye pata chal jayega ki kaise jald se jald earning kare. To ab chaliye shuru karte hai ki kaise log paise kama rahe hai adsense se online kaam karke aur aap kaise kare.

Kya hai Google AdSense aur kaise iske jariye paise kama sakte hai?



Google AdSense ek free sewa hai jo ki google ke jariye publishers ko di jati hai taki internet par vo apne content ko monetize kar sake. Publisher koi bhi ho sakta hai jiske pass blog, website, youtube,channel ya fir koi aur online property ho. Adsense ek sabse popular jariya hai jiski help se koi bhi apna content online monetize kar sakta hai aur online earn kar sakta hai.


Adsense ek popular tarika hai kunki ye bahut he aasan aur simple hai aur ek par puri configuration ke baad aap asani se apne content ke jariye paise kama sakte hai. Ye bilkul safe process hai aur isme koi fraud ya fir scam ka dar nahi hota hai.
Adsense ke liye apko apna ek blog ya youtube channel hona jaruri hai jiske jariye aap apne adsense approve  ki request daal sakte hai aur ek approved adsense account pa sakte hai. Jaise he apke pass ek account hoga uske jariye aap ads ko create kar sakte hai aur uss ad ko apne blog ya website me daal sakte hai. Adsense automatically ads ko dikhata hai. Jab aapke ads me koi reader ya user click karega uss hisab se aap money earn hoga. Iske baad aapka goal yahi hai ki kis prakar aap apne blog me traffic laye, jitna jyada traffic hoga utni jyada earning hogi.


Ye warning hamesha yaad rakhe:
Agar aap soach rahe hai ki ye bahut he aasan hai aur aap apne freinds aur family ko bolkar ads par click karwa sakte hai to kabhi aisa sochiyega bhi mat. google adsense ek bahut he quality ad network hai isko join karna to free hai lekin iski quality high level ki hoti hai aur jo agar publisher iss prakar se kisi ko bolkar jo agar ad me click karwayega to ye ek illegal method hogi iss se apka account block aur disable ho jayega, to aap kabhi bhi aisa na kare. Agar apka account block hogaya to use wapas pahle jaisa karna bahut he mushkil hai.


Kitna aap adsense ke jariye earn kar sakte hai:

Ye ek bahut he basic question hai jo sabhi naye log (newbie) janna chahte honge ki kitna adsense se kamaya ja sakta hai. Adsense se aap unlimited paise kama sakte hai iske liye aapke blog me accha trafic hona jaruri hai jitna jyada apke pass traffic hoga utni jyada aap ki earning hogi, kai log hazaron dollar google adsense ki help se daily kama rahe hai. maine kai sari links neeche daali hai jiski help se aap apne adsense account ko maintain rakh sakenge, lekin sabse pahle apko ek quality web property banani hogi jiske liye aap adsense ko apply karenge.

AdSense account ko pane ke liye web property ko create karna:

Agar aap adsense account ke liye apply kar rahe hai to uske liye apke pass web-property hona jaruri hai jaise blog, website, ya fir kuch online property. Neeche mai teen chezo ke bare me bta raha hu jiske jariye aap web property bana sakenge.


BlogSpot par free blog banaye:
Blogspot google dwara provide kiya hua ek free blogging platform hai, iske jariye aap agle 10 minute me free blog bana sakte hai. Ye ek best platform hai un logo ke liye jinhone kabhi online kaam nhi kiya hai aur pahli baar online kaam karke money earn karna chahte hai. Kuch jaruri cheze ko apne dimaag me rakhe:
  • Domain name: blogspot apne sabhi users ko domain name provide karta hai jaise name.blogspot.com. Mere hisab se apko apne blog ke liye aisa naam choose karna chahiye jo easily bola ja sake aur jo aasani se likha ja sake.
  • Niche: apko apne blog me hardam ek particular topic ke upar article likhana chahiye jaise jaise aap apne blog me tech ke bare me likh rahe hai to hardam tech se related he article likhe, ek category me likh kar he apko aage chal kar fayad mil sakta hai
  • Design: jab aap blogspot par apna pahla blog banayenge tab aapko vaha far kafi sare free template milenge jisko aap use karke apne blog ka design change kar sakte hai but mai apko salah dunga ki aap 3rd party templates ko use kare aur apne blog ko jyada professional banaye.
  • Pages: ye ek bilkul important page ko create karne ke liye hota hai jaise ki aap apna contact page, about page, privacy policy ka page banana chahte hai to aap pages me jakar aasani se create kar sakte hai.


Wordpress me premium blog banaye (Smart & Professional way):
Ye tarika mai unn logo ko bta raha hu jinko online kaam karne ka kuch experiance ho ya fir idea ho ki kaise wordpress kaam karta hai. Puri duniya me 22 percent se bhi adhik log wordpress ka istemall karte hai. Ye ek professional website or blog banane ke liye acxha platform hai. Iss platform me kaam karne ke liye hosting hona jaruri hota hai wordpress me codings ko bahut he aasan tariko se plugin ke jariye manage kiya ja sakta hai, but mai aap sabhi ko yahi salah dunga ki jo agar app ko wordpress ke bare me idea ya kuch knowledge ho tabhi iska istemall kare, otherwise sikhne ke kiye blogspot best hai.


Youtube channel banaye aur original videos ko upload kare:
Ye ek popular tarika hai jiske jariye aap aasani se kafi money online earn kar sakte hai youtube ke jariye aap adsense ke liye request daal sakte hai. Iske liye apko youtube me apna channel create karke original videos ko upload karna hoga. Apko bas apne mobile ya video recorder se video ko record karna hai aur thodi bahut editing karke usse youtube me upload karna hoga.
Youtube me videos ko upload karne ke baad aap monetize option me jakar adsense approval ke liye request daal sakte hai aur apne videos ko monetize karke earning kar sakte hai.


Web property choose karne ke baad kya kare?
Jab aap web property ko choose kar le tab uss property me seriously kaam karna jaruri hota hai kuch din seriously kaam kare then adsense ke liye apply kare. Adsense approve tabhi hota hai jab app ki web property ki quality acchi rahti hai, iss liye seriously kaam karna bahut he jaruri hota hai

Adsense ke liye apply karna:

Apka agla kadam adsense application ko bharna aur approval ka intezar karna hoga, generally approved account ko 7 din tak lag jate hai jo agar aapka account approve nhi hota hai to apko mail aa jayega lekin jo agr apka account approve nhi ho to aap apne blog me missing mistakes ko sudhare aur dubara se adsense ke liye apply kare.


Adsense approve hone ke baad kya kare:

Jab apka adsense aprrove ho jayega aur apke adsense ke dashboard me kuch dollar dikhne lagenge to vo khushi bahut he mulwaan hogi. Ab apko online paise kamane ka ek jariya mil chuka hai jiski help se aap online khub paise kama sakte hai. Aap jo agar blog me ad lagate hai to uske liye apko ad unit create karni padengi uske baad app unn ad unit ke code ko blog me daal kar ad ko apne blog me show kar payenge aur acche traffic se kafi acchi earning bhi kar payenge.